Friday, April 17, 2009

Dedicated to my Grandmom


Pehla kadam jab uthaya,tha hatho me ek hath mere
bhar ati hai aankhein sochkar, ab vo saya bhi na sath mere

Aaj bhi bhar ati hai meri aankhein
jab bhi khayalon me najar ati hai vo aankhein


Yakeen nhi hota, aj vonahi mere paas hai
us athaha mamta ka mujhe aj bhi ehsas hai


Ek taraf dekhta hu,yeh matlab pe jita sansaar
aur dusri taraf samunder se bhi gehraa pyar


Samajh nhi pata hu mai,koi itna pyar kaha se lata hai
shayad ishvwr maa ka dil hi aisa banata hai


Vo narm hatho ka snehil sparsh mujhe aj bhi yaad hai
ho gaya hai arsa yun to magar lagta hai kal ki baat hai


Unki har baat lagti thi mano duan ho jaise
koi un bato ko bhule bhi to kaise


Chahta hu mai bas koi aisa chamatkar ho jaye
jo mujhe ek bar phir se unke pas le jaye..

No comments:

Post a Comment