Friday, April 17, 2009

Ek khalsih si hai dil me
jane kyu kuch kami si hai
kuch chut gaya safar me piche
ya koi arzu dabi si hai


Yun to koi gham nahi mujhe
phir bhi mai khush nahi
dariya ki tamanna nahi mujhe
mujhe ek katra bhi kam nahi


Hai chah kuch hasil karne ki
par na jane hai voh kya
hun rah par kisi manzil ki
na jane manzil hai vo kya


Hai basi raat mere zehan me
subah ka intezar karta hu
hain bediyan mere pair me
ya mai khud ko rokta hu


Aj phir ek baat chubhati hai
par woh baat anjan hai
koshiish kuch mitane ki hai
shayad woh him meri pehchan hai......

-Prashant :-)

No comments:

Post a Comment