Jane kyu chubhate hai aaj bhi
ek arse pehle tute khwab
chalti hai mere saath aj bhi
ek khamosi odhe huye nakaab
Kuch tukade unke aaj bhi
shayad rooh me dhanse huye hai
har ek pal mein aj bhi
vo lamhe chupe huye hai
Hain kuch armaan aj bhi
par na jane kyu udne se darte hain
vahi hai aasmaan aj bhi
par ab sholey baraste hai
Ati hai subah aj bhi
bas ujala nhi hota
miltey hain musafir aj bhi
bas koi humara nahi hota..
Dubi nahi hai kashti aj bhi
bas sahil nahi milta
haqeeqat kar dun mai khwab bhi
bas koi khwab nahi milta
Likhta hun ghazal aj bhi
bas be-asar hoti hai
chalti hai saansein aj bhi
dhadkanein bekhabar hoti hai
Saturday, December 26, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
.jpg)
No comments:
Post a Comment