Saturday, December 26, 2009

Dastaan

Mai jaga vo sari raat tha
sitaron mein teri tasveer banate
mera aks bhi mere sath tha
karte they dono teri baatein


Us shab ke bad ki sehar
roshan bhi kuch jyada thi
sansein thi mano sheet lehar
chalti bhi kuch jyada thi


Dil ne kaha bol do
use ankhon ki jubaan nahi ati
aaj yeh raaz khol do
use khamoshi padhni nahi ati


Kuch pal mein hi maine
khwab hazaron bun liye
apni ankhon se maine
tere naino ke moti chun liye


Laut ata main paas jakar
jane kya soch reh jata
jaise khichta koi mujhe aa kar
aur main khichta chala jata


Uski ankhon mein jo noor tha
reh-reh kar chalak jata
mai to uske age majboor tha
dil bhi reh-reh kar behak jata



Akhir mai hara dil jita
thana ki ab bol du
dil me chupaye jamana beeta
ab raaz khol du



Doob kar shabnami aknhon mein
keh to dali dil ki baat
usne kaha kuch do lafzo mein
achanak hi ho gayi raat


Aj bhi har din mein
shamil hai vo raat kahin
teri yaad mere sath mein
rehti hai chupke dil me kahin


Khwab ankhon se bahe sare
ab mai raat se khwab mangta hoon
todta hoon falak se taare
duaon mein tujhe mangata hoon......

-Prashant :)

No comments:

Post a Comment