Aj bhigte dekha maine
barkha me tere aks ko
phir jhaka apni ankhon me
to paya ek ajnabi shaks ko
Mera tan to sukha hai
barkha ne naino ko bhigo diya
khwab-o-khwahish k bikhre motiyon ko
kyu aj phir piro diya..
Ab behti hawa bhi
khamosh hi nikal jati hai
pehle to aksar ate jate
teri dastaan keh jati thi
Os ke moti bikhar kar
tera nam likh diya karte the
aj toot gaye chatak kar
vo bhi tumse hi pyar karte the
Ab to barkha-bahar ne
humse kinara kar liya
kyuki ek "kumud" ko maine
pas dil k apne rakh liya.........
Saturday, December 26, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
.jpg)
No comments:
Post a Comment