Saturday, December 26, 2009

Akhiri Raat

Hawaae-in hai mehki si
behki si fizaein hai
mausam ye pyar ka
mano hai akhiri aur pehla
khamoshi ki ghazal
ga rahi haii sansein
buna hai nazara
kise ne sirf mere liye
har patte har boote per
naam likha hai tumhara
raat ki syahi bhi
kajal hai tere naino ki
os yeh subah ki
teri ankhon ki nami hai
kshitiz pe bikhari lali sham ki
tere labo ka hi rang hai
chand ho tum...
tumhara ehsaas chandni
jo aksar mujhe sulati hai
mere ankhein hai..
sirf dekhne ko tere sapne
aur dil hai..
bas rakhne ko ek umeed
ki kisi din
kisi roz
chandni nahi balki khud chand ayega
sulane mujhko bhar ke apni baho me
meri ankhein jinme the sirf sapne tumhare
kaid kar lunga tumhe unme
kyu ki janta hu mai
ae humdum
ki age sirf kali raat hi hogi..
-Prashant

No comments:

Post a Comment