Saturday, December 26, 2009

Intezaar

Pathra gayi aankhein bhi ab to
teri raah takte guzare arse
nahi barse badra abke saawan
bahut hai mere naina barse

Kabhi ankhein thi teri aaina
aaj aine me teri ankhein hain
murjha gaye phul ummed ke
bahut sooni dil ki shaankhein hai

Bujha diye maine kitne suraj
mujhe bas raat se pyar hai
pa liya maine tujhko chand mein
mujhe har subah se inkar hai


Bas ab yahi tamanna,yahi khwahish,yahi guzarish hai...


Aa bhi jao in khwabo me
ki bahut choti hai yeh raat
chalo do kadam sath mere
ki bas pal do pal ka hai sath..
-Prashant :)

No comments:

Post a Comment