Saturday, December 26, 2009

Jane kyun aj...

Jhuk gaya hai asman
ya ud rahi hai ye zameen
jane kya hua mujhe
pair jameen par padte nahin

Ud raha hu aj main
pankh bina fiza-on mein
hai duniya badal gayi
ya main aj main nahi

Bandish na koi janjeer hai
na mai rokta hu khud ko
sapn-on ke jahan ki or
mai udta ja raha

Tha mai ek kora kagaz
jane kis ne kya likh diya
ban gaya mai ek patang
hawa-on me behta ja raha
-Prashant :-)

No comments:

Post a Comment